Aaj yein aankhe fir se royi..
Pyar ke liye nahi dulaar ke liye
Aaj fir se taras gayi
sukun ki good ke liye
Aaj kadam fir se dagmga gaye
apka hath tham kar chalne ke liye
Aaj aansu fir se sukh gaye
apke aanchal ke intezaar karte
Aaj andhere se fir dar gayi
apko piche dhundte huye
Aaj zubaan fir se ladkhda gayi
Bolne ki shuruwat to apse hi ki thi na maa
Aaj khana fir se na bhaya
aapke hath ka niwala na tha
Aaj yein aankhe fir se royi
Par pyar ke liye nahi dulaar ke liye